Total Pageviews

Popular Posts

About Me

My photo
I am a budding entrepreneur...

Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.

Monday, July 23, 2007

Desh ka naya Samaj.......

Desh Ka Naya Smaj
Lahoo Mangta Hay Aaj
Samay Ki Ye Pukaar Hey
Ki Dharmyuddh Ched Do
Pukarti Swatantrata ki
Badion ko Tod Do
Tod Do Wo Bandhane
Tumhe Jo Roktin Hain Aaj
Kaun Loktantra ko
Aaj Hain Nigal Rhin
Kiski Golion Se Yeh
Vasundhara Pighal Rahi
Pighla Do Uss Hriday KoJo
Pasan Ban Chuki Hay Aaj
Niharta Jo Vartaman
Swapna Ko Saja Raha
Mook Dekhta Hua
Din Raat Yun Bita Raha
Sulag Rahi Jo Aag Hay
Ched De Zara Si Aaj
Choodion Main Hanth Ko
Na Aaj Quied Kar Yahan
Josh Bhar De Laash Main
Zara Bhi Hosh Ho Jahan
Hila De Woh Kursian
Jo Aaj Tak Hili Nahi
Badal De Roop Desh Ka
Jo Aaj Tak Mili Nahi
Magar Kafan KO Chhodkar
Kisi Jagah Na De Aawaj
Desh Ka Naya Samaj
Lahoo Mangta Hay Aaj....

A Boy to his beloved......

Himalay se oonchi hriday ho tumhari,
Sada lehlehati chaman ho tumhari,
Ganga si nirmal tumhari chhata ho,
Garje ya barse hamari ghata ho.
Amar prem kya hay ye sansar dekhe,
Badal do ye dunia badal kar dikha do
Nahi bhool jana jo gaurav mila hay
Geeta ki gatha jahan ko sikha do
Rona nahi jab woh majhdhar aaye
Muska ke chalna chaman ko sajae
Apno ko hardam gale hin lagana
Kanton ko dekho magar bhool gana.
Hazaron tarah ke hin manav milenge
Insaan kam lekin danav milenge
Ruk Ruk ke jhonke chalenge tufani
Magar hum hamesha theharte milenge
Tumhara milan hamse nutan nahi hay
Sadion purane jude the ye dhage
Isi roop main hum tumhare rahenge
Agar lakh janmon ke bandhan ho aage.
Chinta ka wish mat nigalna kabhi tum
Ansu se dil ko na dhona kabhi tum
Sada apne ishwar pe wishwas rakhna
Koi kuchh kahe mat badalna kabhi tum
Jeevan main yeh khat sada yaad rakhna
Ujarte chaman ko bhi aabad rakhna
Lakeerein ye syahi ki mat tum samajhna
Tumhara lahu keh raha yaad rakhna
Maine dia kya tumhe bhi pata hay
Pata gar nahin to ye pehli khata hay
Do sabd shrdha ke mujhe daan karna
Ankhon ko hargiz na aansu se bharna
Aab tak to mujhko do aansu mile hain
Jab tum mili toh chaman bhi khile hain
Dunia ki daulat hamari nahi hay
Hame jo mila ham usi se mile hain
Tumhin ho jo dharti pe sita bani thi
Hindu ke karmo main geeta bani thi
Tumne asur ko dhara se mitaya
Apni lahu se hin bharat banaya
Nahin bhool jana woh sakti tumhari
Kailash beti si bhakti tumhari
Tumhari sharam se sama bhi jhukegi,
Andhi bhi aae toh bhay se rukegi.
Sada muskurana hamara dharam hay
Bhalai hin karna hamara karam hay
Achhi chalan hin hay poonji hamari
Meetha wachan hin hay gaurav hamara
Jeevan ke saathi sada sath denge
Sada pyar se haanth main hanth denge
Dhalti ubharti nayi jindagi main
Inhi do dilon ko milate rahenge....

Yadien....

Ye Yadien bhi kitne bedard hotin hain,aatein hain aur bina koi aawaj ke chupke se khisak jatein hain.Unhe kisi ki fikr kahan?Koi sard raat ke sannate main bister main muh daaabkar siskian bhar toh unhein kya?Dil main hazaron khwab dikhakar aur aas ka deepak jalakar chhod jatein hain kisi ko jalta hua chhodkar.Insaan ki kya mazal ki inse koi shikayat kare..Shikayat toh aapno se ki jaati hay lekin ye yadein toh pal bhar main hin aapne se begaane ho jaatein hain.Ye mauka hin kab detein hain.
Usko dekha toh aisa laga jaise wahi hay jo mere khwab main holle se dastak dekar mujhe jagati ho aur mere jagte hi jaise pal bhar ke lie mujhse meri saanse chheen le jati ho.Uski ankhein reh reh kar mujhse kuchh bolna chahti lekin kuchh na bol pati.Use samne pakar mere toh jaise sanse hin rook jatien.Uski ankhon ki chamak dekhkar aisa lagta ki jaise amawasya ki raat main sabhi tare ek saath timtima uthe hon.Uski aawaj ki saralta kuchh iis tarah thi mano ek saath kai ghunghru baj uthe hon
Dil main ek saath kai jajbaat jaag uthe,Nazron ke saamne chaubiso ghante usi ki tasweer ghumti.Mann main umango ka sailaab sa aa gaya.
Subah uthkar jaga,woh ja chuki thi.Kuchh samay ke lie mujhe laga ki main ro padta..Ankhein nam ho chuki thi.Jeevan main pehi baar main aapne aap ko itna akela mehsus kar raha tha..Aaj tak akela hoon..Jab bhi use yaad karta hoon toh lagta hai ki jaise jakhmon par kisi ne sui chubha di hay...Phir bhi mann ko ek aas hay ke jald hin woh mujhse milne aayegi........

Tanhai...

Mera hamsafar mera dost meri tanhaii..
Mera hambadan meri jaan meri tanhaii..
Jab sabon ne chhod dia humko thukra kar rastey main..
Tab daud padi apni bahein failakar...apne seene se lagaya
mujhe meri tanhaii ne....
Bahut chaha ke usse ek baar yaad kar loon par mumkin na hua..
Usee apne saath lekar mere paas aa gayi meri Tanhaii.........S

Main aur meri Tanhaii.....

Main aur meri tanhaii.....tanhaii main uski yadien,
uski yadon main uski baatein..baton main sadgi...
Mere yadon main uski ankhein..Ankhon main ek
gehri jheel...Uske ankhon main sapne...woh sapney
jo hain sirf uske aur mere apne...Sapno main ek
choti si Dunia...Jis dunia main ek chhota sa ghar..
Us ghar main ek Angan..Angan main ek aam ka ped
Ped ke neechey ek tukda zameen ka..Jis zameen par
beechhi ho ek chadar...Chader par baithkar...Tirchhey
jhankte hue chand ki roshni main..dekhta rahun apne
Chand ko raat bhar..Aur gujar jaye sara jeevan
inhi sapno main doobkar
Bas itna sa hin khwab hay.....
Bas itna sa hin khayal hay.....s