Total Pageviews

Popular Posts

About Me

My photo
I am a budding entrepreneur...

Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.

Monday, July 23, 2007

A Boy to his beloved......

Himalay se oonchi hriday ho tumhari,
Sada lehlehati chaman ho tumhari,
Ganga si nirmal tumhari chhata ho,
Garje ya barse hamari ghata ho.
Amar prem kya hay ye sansar dekhe,
Badal do ye dunia badal kar dikha do
Nahi bhool jana jo gaurav mila hay
Geeta ki gatha jahan ko sikha do
Rona nahi jab woh majhdhar aaye
Muska ke chalna chaman ko sajae
Apno ko hardam gale hin lagana
Kanton ko dekho magar bhool gana.
Hazaron tarah ke hin manav milenge
Insaan kam lekin danav milenge
Ruk Ruk ke jhonke chalenge tufani
Magar hum hamesha theharte milenge
Tumhara milan hamse nutan nahi hay
Sadion purane jude the ye dhage
Isi roop main hum tumhare rahenge
Agar lakh janmon ke bandhan ho aage.
Chinta ka wish mat nigalna kabhi tum
Ansu se dil ko na dhona kabhi tum
Sada apne ishwar pe wishwas rakhna
Koi kuchh kahe mat badalna kabhi tum
Jeevan main yeh khat sada yaad rakhna
Ujarte chaman ko bhi aabad rakhna
Lakeerein ye syahi ki mat tum samajhna
Tumhara lahu keh raha yaad rakhna
Maine dia kya tumhe bhi pata hay
Pata gar nahin to ye pehli khata hay
Do sabd shrdha ke mujhe daan karna
Ankhon ko hargiz na aansu se bharna
Aab tak to mujhko do aansu mile hain
Jab tum mili toh chaman bhi khile hain
Dunia ki daulat hamari nahi hay
Hame jo mila ham usi se mile hain
Tumhin ho jo dharti pe sita bani thi
Hindu ke karmo main geeta bani thi
Tumne asur ko dhara se mitaya
Apni lahu se hin bharat banaya
Nahin bhool jana woh sakti tumhari
Kailash beti si bhakti tumhari
Tumhari sharam se sama bhi jhukegi,
Andhi bhi aae toh bhay se rukegi.
Sada muskurana hamara dharam hay
Bhalai hin karna hamara karam hay
Achhi chalan hin hay poonji hamari
Meetha wachan hin hay gaurav hamara
Jeevan ke saathi sada sath denge
Sada pyar se haanth main hanth denge
Dhalti ubharti nayi jindagi main
Inhi do dilon ko milate rahenge....

No comments: