Total Pageviews

Popular Posts

About Me

My photo
I am a budding entrepreneur...

Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.

Monday, July 23, 2007

Yadien....

Ye Yadien bhi kitne bedard hotin hain,aatein hain aur bina koi aawaj ke chupke se khisak jatein hain.Unhe kisi ki fikr kahan?Koi sard raat ke sannate main bister main muh daaabkar siskian bhar toh unhein kya?Dil main hazaron khwab dikhakar aur aas ka deepak jalakar chhod jatein hain kisi ko jalta hua chhodkar.Insaan ki kya mazal ki inse koi shikayat kare..Shikayat toh aapno se ki jaati hay lekin ye yadein toh pal bhar main hin aapne se begaane ho jaatein hain.Ye mauka hin kab detein hain.
Usko dekha toh aisa laga jaise wahi hay jo mere khwab main holle se dastak dekar mujhe jagati ho aur mere jagte hi jaise pal bhar ke lie mujhse meri saanse chheen le jati ho.Uski ankhein reh reh kar mujhse kuchh bolna chahti lekin kuchh na bol pati.Use samne pakar mere toh jaise sanse hin rook jatien.Uski ankhon ki chamak dekhkar aisa lagta ki jaise amawasya ki raat main sabhi tare ek saath timtima uthe hon.Uski aawaj ki saralta kuchh iis tarah thi mano ek saath kai ghunghru baj uthe hon
Dil main ek saath kai jajbaat jaag uthe,Nazron ke saamne chaubiso ghante usi ki tasweer ghumti.Mann main umango ka sailaab sa aa gaya.
Subah uthkar jaga,woh ja chuki thi.Kuchh samay ke lie mujhe laga ki main ro padta..Ankhein nam ho chuki thi.Jeevan main pehi baar main aapne aap ko itna akela mehsus kar raha tha..Aaj tak akela hoon..Jab bhi use yaad karta hoon toh lagta hai ki jaise jakhmon par kisi ne sui chubha di hay...Phir bhi mann ko ek aas hay ke jald hin woh mujhse milne aayegi........

No comments: