Chalo sathion aaj bacha le,
Doob rahi imaan ko.
Ma ki laaj bachaney me,
Hum de de aapni jaan ko.
Yaad karo woh kal ko jab,
Lakhon ne ghar ko chhoda tha.
Khana peena toh door raha,
Apno se naata toda tha.
Ek taraf neta ji ne,
Ajad hind ko khada kia,
Aur doosri aur aahimsa,
Gora-sahi charmara dia.
Is tarah desh ke taruno ne,
Rakh lia desh ki aan ko.
Aaj nahi gora-sahi,
Gaddar desh ka dushman hay.
Janta ko dhokha de dekar,
Har bar use karta tang hay.
ATYACHAR ke bal se sabka,
Bhrast aachran bana dia,
Yuva shakti ki kimat ko,
Aashwasan dekar ghata dia.
Is tarah bhrast shashan me failey,
Mita de hum abhiman ko.
60 varsh ki aajadi,
Aaj humare saath hay.
Gandhi ke sapney choor hue,
Khali nirdhan ka haath hay.
Chand luteron dhanio ke
ghar me diwali manti hay,
Banki logon ki kutiya me,
Harpal garibi palti hay
Apne imaan ko lekar aab,
patenge is darmyan ko.
Kalam ghisayi ki siksha,
Dekar pehla apradh hua.
Bekaro ki jamghat lekar,
Bharat apna barbad hua.
Us tarunai ko kasam aaj,
De raha desh ka bachpan hay.
Yeh jeena bhi kya hay jeena,
Chalte murde sa jeevan hay.
Nayi kranti ki nav mashaal,
lena hay har insaan ko.
Bhakt aadivasi harijan ke,
Apne ko jo kehte hain.
Loot rahe hain chheen rahe hain,
Wo toh bhookhe marte hain.
Jatiwad ka roop aaj,
Kodh bankar hay pada hua.
Bhrastachar ka zaher lie,
Manavta bhi mara hua.
Gar hosh zara bhi ho usme,
Pahunchao mat shamshan ko.
Woh march 18 ka patna,
Phir ek baar hum yaad karen.
zanziron me jakri yuva shakti,
Satta se phir maang kare.
Indra brigade ki goli bhi,
Jan sagar ko kya rok saki.
sangeeno ki boli kab tak,
Hum yuva shakti ko tok saki.
Hum to jwala hain Bharat ke,
Jo chur karen har shaan ko.
Sachayi ki jeet sada se,
Hoti aayi hay bhai.
Islie goian khakar bhi,Humne hinsa thukrai.
Bhed bhav ko aaj se hi,
Bhula dena hay hume samaj se.
Bhai behen ka rishta lekar,
punah chale hum aaj se.
AAj ekta ke neechey,
kuchlenge har apmaan ko.
Aaj ekta nahi jhukegi,
Shashan ki lathi goli se.
Bhrashtachar mitani hogi,
Janta ki har boli se.
Aaj chhatra aur yuva warg ne,
Bhishma pratigya kar dali.
De denge hum balidaan aagar,
Lakhon mangegi Ma kali.
Balidan ke badle humsab,
payenge swachh samaj ko.
Bharat ke bachhe bache phir se,
Gandhi Subhash ban jayenge.
Jab loktantra khatre me hay,
toh maut se bhi takrayenge.
AAzadi ko kab tak shashak,
jholi me yahan chhipayenge.
Gar bhagat singh banna hoga,
huste huste ban jayenge.
Kab tak goli se chhedenge,
Woh mere har armaan ko.
Chalo sathion aaj bachale,
Doob rahi imaan ko.
Other wise,kal mangane ke lie kuchh bachega hi nahi..............
Total Pageviews
Popular Posts
Blog Archive
-
►
2012
(1)
- ► 10/14 - 10/21 (1)
-
▼
2011
(13)
- ► 08/21 - 08/28 (1)
- ► 07/31 - 08/07 (1)
- ► 07/24 - 07/31 (1)
- ► 05/22 - 05/29 (1)
- ► 05/15 - 05/22 (1)
- ► 05/08 - 05/15 (1)
- ► 05/01 - 05/08 (1)
- ▼ 04/03 - 04/10 (5)
- ► 03/20 - 03/27 (1)
-
►
2010
(3)
- ► 12/05 - 12/12 (1)
- ► 10/10 - 10/17 (1)
- ► 08/15 - 08/22 (1)
-
►
2009
(9)
- ► 05/10 - 05/17 (1)
- ► 05/03 - 05/10 (1)
- ► 01/25 - 02/01 (2)
- ► 01/18 - 01/25 (1)
- ► 01/11 - 01/18 (3)
- ► 01/04 - 01/11 (1)
-
►
2008
(3)
- ► 12/28 - 01/04 (1)
- ► 12/21 - 12/28 (2)
-
►
2007
(7)
- ► 08/05 - 08/12 (1)
- ► 07/29 - 08/05 (1)
- ► 07/22 - 07/29 (5)
About Me
Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment