Total Pageviews

Popular Posts

About Me

My photo
I am a budding entrepreneur...

Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.

Wednesday, April 6, 2011

Naye Rashtra ke Bhagya Vidhata.

Naye Rashtra ke Bhagya Vidhata,
Sada Soch kar Bolo Tum.
Nav Nirman ke pehle Ganga mein,
Apne aap ko Dho Lo Tum.

Nahi Ekta Ke Andar,
Nij Swarth ki gandgi Badhana Tum.
Gandi Basti ke Maanav ko,
Nishchay hi Gale Lagana tum.
Oonch-Neech,Malik-Chakkar,
Bhay-Dwesh ka Mail Chhuda Lena.
Sada-char aur samta ka,
Ghar ghar main jyoti jala dena.

Hai nirdhan yeh desh humara,
Bharat mata ki jay bolo tum.

Sampoorn kranti ki nav mashal,
Hum subne aaj uthaani hay.
Balidan-kast lathi Goli,
Sahne ko kadam badhani hay.

Yeh kadam naa aage ruke kahin,
Bas sabko iska dhyan rahe.
Sab kuchh lut jaye magar sada,
Apna sachha imaan rahe.
Sachhe imaan ko lekar aab,
Nayi Kranti ki jay bolo tum.

Dekho Bharat ka Loktantra,
Kis tarah banaya jata hay.

Mat-data ki mat bina lie,
Sarkar banaya jata hay.
Kuchh to paise par bikte hain
kuchh ko lalchaya jata hay.
Anpadh ko toh kuchh mila nahi,
Hardam hi bharmaya jata hay.

Janta ki phir ho loktantra,
Shashan ki aankhe kholo tum.

Dekho Lok-Sabha aapni,
Besharam bani chup baithi hay,

Mantri banne ke chhakar main,
Bhukhon ke paise aainthi hay.

Bhookhi janta ki bhookh sada,
Goli de dekar mita rahi.

Kuchh ko lathi ke balpar,
jailon mein hay lita rahi.

Kab tak aakhir sahna hoga?
Janta ki jai bolo tum.

Naye rashtra ke bhagya vidhata,
Sada sochh kar bolo tum.

No comments: