Total Pageviews

Popular Posts

About Me

My photo
I am a budding entrepreneur...

Din aate hai din jaate hai, Kuch lamhe aapke bin guzar nahin paate hai, inhi lamho ko sametkar dekhu toh aap bahut yaad aate hai.

Thursday, April 7, 2011

Kya kahun kya ho raha hay?

Sooraj chhitij par roz aata,
Chand sapno ko sajata.

par humara mann sada,
Insaniyat hay bhool jata.

kyonki ki har pal so raha hay
kya kahun kya ho raha hay?

swarth ke pichhe pada,
Insan danav ban chuka hay
pet se lachar hokar,
bhrast manav ban chuka hay.

Chund sikkon ke lie,
Imaan sab ka kho raha hay.
kya kahun kya ho raha hay?

Nit khule bazar me,
hai bik raha insaan ka dil.
nyay bechey ja rahe hain,
hans raha hay chor katil.

hay na koi bhi tarazo,
nyay jispar ho raha hay
kya kahun kya ho raha hay?

Sapno ko aapna maan kar ,
kali disha me ja raha man.
Har subhah khoya hua,
Milta hay mitti se bana tan

Mitti ke tan me har chita,
Ek yaad bankar kho raha hay.
kya kahun kya ho raha hay?

Hai sulagti ja rahi,
Woh aag jo humne lagayi.
Dukh ke badal ghir chuke,
Toh aankh ne aansu bahayi

Aansuon se man humara,
Narm dil ab dho raha hay
kya kahun kya ho raha hay?

Kya pata is desh ko,
ki kaun tanashah hay.
Moorkh ko toh moorkh banne,
Ki sada se chah hay.

Desh hay aazad par,
Man me gulami so rahi hay.
kya kahun kya ho raha hay?

Hay yuva is desh ka,
Andha bana ayr maun hay.
Satya path par chal pade,
Aisa bata de kaun hay.

Jhooth ke parde me toh,
Har naach nanga ho raha hay.
kya kahun kya ho raha hay?

Dab rahi hay har khushi,
Anyay atyachar se.
Hay na koi bhi yahan,
seeney laga le pyar se.

pyar ke pichhe toh khul kar,
Dushmani hi ho rahi hay.

kya kahun kya ho raha hay?

keh raha aapna tiranga,
kyon humen budnaam karte?
desh bhaki ko dikhakar,
Desh ka seena ho chhalte.

Tez ho jo lok ka,
chola pehan kar kho raha hay,
kya kahu kya ho raha hay?

Meley toh lagte hay sada,
mala bhi chadhte ja rahe hain.

par shahido ke lahu,
yeh geet har pal ga rahe hain

kaun dega woh khushi?
jo aansuon me so raha hay.

kya kahun kya ho raha hay?

No comments: